Bashir Saifi

aisa lagta hai muKhaalif hai KHudai meri

Bashir Saifi

Rawalpindi, Punjab, Pakistan

1948-2000
aisā lagtā hai muḳhālif hai ḳhudā.ī merī
koī kartā hī nahīñ khul ke burā.ī merī
mujh meñ madfūn baḌe shahr-e-ma.ānī the magar
duur tak kar na sakā vaqt ḳhudā.ī merī
be-sadā shahr thā ḳhāmosh the galiyoñ ke makīñ
ek muddat mujhe āvāz na aa.ī merī
ḳhair-ḳhvāhī kā rahā yuuñ to sabhī ko da.avā
chāhtā bhī to koī dil se bhalā.ī merī
shab kī dahlīz pe qazzāq zarūrat to nahīñ
chhīn letā hai jo din-bhar kī kamā.ī merī
kuchh mire ilm ne bhī mujh ko fazīlat baḳhshī
fan se nisbat ne bhī tauqīr baḌhā.ī merī
mujh ko mujh tak hī na mahdūd samajhnā 'saifī'
lā-makāñ se bhī pare tak hai rasā.ī merī
Top Urdushayar.com