zāhir mirī shikast ke āsār bhī nahīñ
mujh ko yaqīn fat.h kā is baar bhī nahīñ
qaid-e-makāñ se dekhiye kab tak rihā.ī ho
ab tak to bad-gumāñ dar-o-dīvār bhī nahīñ
kis sehr kī giraft meñ aa.e hue haiñ ham
āñkheñ bhī haiñ khulī huī bedār bhī nahīñ
jo kuchh ki dil meñ ho bharī mahfil meñ kah sake
har shaḳhs meñ ye jur.at-e-iz.hār bhī nahīñ
kyā asl kā.enāt ko 'saifī' samajh sakūñ
mujh par ayaañ to zaat ke asrār bhī nahīñ