har kasī ko kab bhalā yuuñ mustarad kartā huuñ maiñ
tū hai ḳhush-qismat agar tujh se hasad kartā huuñ maiñ
buġhz bhī siine meñ rakhtā huuñ amānat kī tarah
nafrateñ karne pe aa jā.ūñ to had kartā huuñ maiñ
koī apne-āp ko manvāne vaalā bhī to ho
mānne meñ kab kasī ke radd-o-kad kartā huuñ maiñ
kuchh shu.ūrī sat.h par kuchh lā-shu.ūrī taur par
kār-e-fikr-o-fan meñ ab sab kī madad kartā huuñ maiñ
is liye mujh se ḳhafā haiñ ahl-e-gulshan āj-kal
rañg jhuTlātā huuñ ḳhushbū mustarad kartā huuñ maiñ
mere jazboñ se bachāo nek-dil logo mujhe
roz o shab in bad-ma.āshoñ kī madad kartā huuñ maiñ
dūsroñ ke vāste likkhā huā lagtā hai jhuuT
apnī sachchā.ī ko akasr aap rad kartā huuñ maiñ
rañg par aa.ī huī hai ab junūñ-ḳhezī merī
roz o shab tauhīn-e-arbāb-e-ḳhirad kartā huuñ maiñ
tauq gardan meñ pahantā huuñ lahū kī dhaar kā
ḳhalq ko hairān 'sājid' zad-ba-zad kartā huuñ maiñ