Narjis Afroz Zaidi

ghubar-e-shab zara is amr ki KHabar karna

Narjis Afroz Zaidi

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1964
ġhubār-e-shab zarā is amr kī ḳhabar karnā
kahāñ se hai mujhe ab hijr kā safar karnā
ye mauj-e-bād-e-zamāna hai be-lihāz bahut
tum apne apne charāġhoñ pe ik nazar karnā
rahā na us ko agar mujh pe e'timād to phir
kisī havāle se kyā ḳhud ko mo'atabar karnā
duā.eñ de ke hī karnā hai ab use ruḳhsat
phir apne saath jo honā hai darguzar karnā
vahāñ vahāñ mirī nīñdoñ ko jāgtā paanā
jahāñ jahāñ mire hisse kī shab basar karnā
hai ik ḳhayāl makīñ kab se ḳhāna-e-dil meñ
zarā sī baat pe kyā is ko dar-ba-dar karnā
vo de rahā thā mujhe aaj be-gharī kī duā
to yaad aayā bahut us kā dil meñ ghar karnā
ki māñgnā mirā chehra jo shahr-e-be-chehra
tū apne vus.at-e-dāman pe ik nazar karnā
Top Urdushayar.com