Narjis Afroz Zaidi

imtihan lene chala hai meri binai ka

Narjis Afroz Zaidi

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1964
imtihāñ lene chalā hai mirī bīnā.ī kā
us ko andāza nahīñ baat kī gahrā.ī kā
is liye rok liyā uTThā huā haath ham ne
us ke har vaar meñ andāz thā paspā.ī kā
ḳhvāb likhtī rahīñ āñkheñ dar-o-bām-e-shab par
sub.h ik pahlū dikhātī rahī sachchā.ī kā
ajnabī ho ga.e ik chhat tale rahne vaale
kuchh to kaffāra adā karnā thā yakjā.ī kā
maiñ ne māñgā thā zarā der ko chehra apnā
aa.ina de gayā ik zaḳhm shanāsā.ī kā
bānū-e-shām tire surma.ī āñchal se pare
koī sāthī hai mirī bādiya-paimā.ī kā
ab chaTak yā na chaTak ġhuncha-e-ḳhātir maiñ ne
rāsta chhoḌ diyā dekhnā purvā.ī kā
us se mil kar huī har baar mohabbat taaza
us ne badlā nahīñ andāz pazīrā.ī kā
Top Urdushayar.com