namī thī aañkh meñ lekin ik e'timād bhī thā
mujhe to hausla jiine kā us ke ba.ad bhī thā
bujhe hue dar-o-dīvār jānte hoñge
kabhī yahāñ tire jalvoñ kā in.iqād bhī thā
vo ek ism-e-tavālat jo shab kī kaaT sake
vo ism ālam-e-vahshat meñ mujh ko yaad bhī thā
ḳhizāñ-nasīb sahī aaj shāḳh-sār-e-hayāt
havā kā aanā kabhī sehn-e-dil meñ sa.ad bhī thā
sitāra dekh ke niklī thī maiñ safar ke liye
magar sitāre ko taqdīr se inaad bhī thā