Narjis Afroz Zaidi

apne pindar se ghaT kar nahin qaem rahta

Narjis Afroz Zaidi

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1964

apne pindār se ghaT kar nahīñ qaa.em rahtā

fard kirdār se haT kar nahīñ qaa.em rahtā

aks baT jaatā hai ā.īnoñ meñ lekin ai dil

aa.ina aks meñ baT kar nahīñ qaa.em rahtā

koī bhī naqsh ho kitnā mukammal lekin

vaqt gard meñ aT kar nahīñ qaa.em rahtā

āsmānoñ meñ uḌānoñ maza hogā magar

koī bhī ḳhaak se kaT kar nahīñ qaa.em rahtā

roz ik raah na.ī shauq-e-safar māñgtā hai

dā.eroñ meñ simaT kar nahīñ qaa.em rahtā

qita-e-jāñ ko jalātā huā is dhuup rañg

chhāñv se terī lipaT kar nahīñ qaa.em rahtā

yaad meñ un ka.ī baar bikhar jaatā hai

dil bhī kyā hai ki simaT kar nahīñ qaa.em rahtā

dil vo bachcha ki isī pal meñ humaknā chāhe

ye vo lamha ki palaT kar nahīñ qaa.em rahtā

Top Urdushayar.com