Narjis Afroz Zaidi

surat-e-haal-e-dil badalta hai

Narjis Afroz Zaidi

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1964
sūrat-e-hāl-e-dil badaltā hai
koī rah rah ke haath maltā hai
dhuup se kyā shikāyateñ ki badan
chāñdnī-rāt meñ bhī jaltā hai
niiñd TuuTī hai kis kī aahaT se
sat.h-e-dil par koī to chaltā hai
ab kahāñ jaa.e mausam-e-hijrāñ
mere āñgan meñ aa nikaltā hai
aisā lagtā hai bachpanā ab bhī
merā āñchal pakaḌ ke chaltā hai
Top Urdushayar.com