kahīñ giraft nahīñ koī isti.ārā nahīñ
navāñ falak huuñ ki jis par koī sitārā nahīñ
ruke muñDer pe kab tā.irān-e-rañg sadā
sabāt ho jise aisā koī nazārā nahīñ
ulajh rahā hai mirā baḳht phir mire dil se
hamārā kaise hai vo shaḳhs jo hamārā nahīñ
darā-e-sarhad-e-aql-o-ḳhirad agar hai ḳhalā
to ye na samjheñ ki is bahr kā kinārā nahīñ
ham ahl-e-dil the so ye hādisa to honā thā
ki ahd vo bhī sahā hai jise guzārā nahīñ