Narjis Afroz Zaidi

raqs-e-zamin ko gardish-e-aflak chahiye

Narjis Afroz Zaidi

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1964
raqs-e-zamīñ ko gardish-e-aflāk chāhiye
naqsh-e-qadam ko farsh-e-ḳhas-o-ḳhāk chāhiye
miTTī to dast-e-kūza-garāñ meñ hai der se
bartan meñ Dhālne ke liye chaak chāhiye
ham aise sāda-lauh se kyā māñgtī hai ziist
is ko harīf bhī koī chālāk chāhiye
kam-fursatī kā un kī mujhe bhī lihāz hai
ahvāl-e-dil ko dīda-e-namnāk chāhiye
Thahre hue haiñ ashk havāoñ kī aañkh meñ
mausam ko ab ke vahshat-e-bebāk chāhiye
Top Urdushayar.com