ik haath duāoñ kā asar kaaT rahā hai
hai chhāñv meñ jis kī vo shajar kaaT rahā hai
kaaTā thā kabhī maiñ ne safar ek anokhā
ik umr se ab mujh ko safar kaaT rahā hai
tum Darte ho aa jaa.e na bastī meñ darinda
mujh ko to koī aur hī Dar kaaT rahā hai
phailā hai bahut duur talak mujh meñ bayābāñ
Dastā hai darīcha mujhe dar kaaT rahā hai
is shahr meñ raas aatī nahīñ ā.ina-sāzī
liije vo mirā dast-e-hunar kaaT rahā hai
ho jaa.e kahīñ qad meñ na kal is ke barābar
is ḳhauf se vo bhaa.ī kā sar kaaT rahā hai
har ek se aatī hai bisāñd apnī ġharaz kī
dil kis ke ravayye kā samar kaaT rahā hai