kaTte hī sañg-e-lafz girānī nikal paḌe
shīsha uThā ki jū-e-ma.ānī nikal paḌe
pyāso raho na dasht meñ bārish ke muntazir
maaro zamīñ pe paañv ki paanī nikal paḌe
mujh ko hai mauj mauj girah bāñdhne kā shauq
phir shahr kī taraf na ravānī nikal paḌe
hote hī shaam jalne lagā yaad kā alaao
aañsū sunāne dukh kī kahānī nikal paḌe
'sājid' tū phir se ḳhāna-e-dil meñ talāsh kar
mumkin hai koī yaad purānī nikal paḌe