nahīñ ye zid ki har ik dard tū mirā le jā
jo ho sake to ye barsoñ kā rat-jagā le jā
tirā to kyā ki ḳhud apnā bhī maiñ kabhī na rahā
mire ḳhayāl se ḳhvāboñ kā silsila le jā
kisī ne duur bahut duur se pukārā phir
diloñ kī qurbateñ āñkhoñ kā fāsla le jā
nikal gayā huuñ bahut apnī zaat se aage
tū mujh se mere bichhaḌne kā sāneha le jā
maiñ ḳhud hī apne ta.āqub meñ phir rahā huuñ abhī
uThā ke tū merī rāhoñ se rāstā le jā
ajiib zahr ravāñ hai lahū kī gardish meñ
kabhī to sholagi-e-jāñ kā zā.iqa le jā
amīr-e-shahr mujhe hurmat-e-hunar hai bahut
ye apnā turra-e-dastār ye qabā le jā