aa.ī to kahīñ koī qayāmat nahīñ ab ke
is shahar meñ ik sar bhī salāmat nahīñ ab ke
yuuñ ḳhema-e-gul ḳhaak huā fasl-e-junūñ meñ
phūloñ pe koī rañg-e-malāhat nahīñ ab ke
kyā jāniye kis dasht kā paivand huā hai
ik shaḳhs sar-e-kū-e-malāmat nahīñ ab ke
ab TuuT ke sahrā meñ bikharne kī havas hai
ik gosha-e-dāman pe qanā.at nahīñ ab ke
haañ ab na rahī dār-o-rasan se koī nisbat
haañ pesh-e-nazar vo qad-o-qāmat nahīñ ab ke
vo zaḳhm mile dil ko sar-e-manzil-e-qurbat
ik dushman-e-jāñ se bhī shikāyat nahīñ ab ke
ḳhud us ne kiyā faisla-e-tark-e-ta.alluq
ḳhud mujh se mire dil ko nadāmat nahīñ ab ke