Lutf-ur-rahman

sang-e-tiflan ka hadaf jism hamara nikla

Lutf-ur-rahman

Darbhanga, Bihar, India

1941
sañg-e-tiflāñ kā hadaf jism hamārā niklā
ham to jis shahr ga.e shahr tumhārā niklā
kis se ummīd kareñ koī ilāj-e-dil kī
chārāgar bhī to bahut dard kā maarā niklā
jaane muddat pe tirī yaad kidhar se aa.ī
raakh ke Dher meñ poshīda sharārā niklā
dil pe kyā jaane guzar jaatī hai kyā pichhle-pahar
os Tapkī to kahīñ sub.h kā taara niklā
jaate jaate diyā is tarah dilāsā us ne
biich dariyā meñ koī jaise kināra niklā
koī sahrā kā havāla na samundar kī misāl
jo bhī Duubā hai jahāñ dost hamārā niklā
bul-havas zid meñ sahī dār-o-rasan se guzrā
ab pashemāñ hai ki saudā ye ḳhasāra niklā
Top Urdushayar.com