tū hī is shahr meñ hai ek shanāsā merī
ab kahīñ le ke mujhe chal shab-e-tanhā merī
le gayā saath hī apne vo mere ḳhvāb-o-ḳhayāl
zindagī ab bhī vahī hai tah o baalā merī
us kī āñkhoñ meñ bhī pahchān ke Dore na mile
dil kī dhaḌkan bhī salāmat thī sarāpā merī
maiñ ki apnā hī pata pūchh rahā huuñ sab se
kho ga.ī jaane kahāñ umr-e-guzishta merī
chāñdnī jis ke sarāpā meñ simaT aa.ī thī
aañkh ab bhī hai usī husn kī juuyā merī
ab bhī ik bhiiḌ hai yūsuf ke ḳharīdāroñ kī
ab bhī istāda hai bāzār meñ duniyā merī
dosh par sar kī jagah turra-e-dastār mile
aañkh ab le le koī mujh se ḳhudā-yā merī