apne lafzoñ meñ ki har chand ayaañ huuñ maiñ bhī
ban ke zaḳhmoñ kī kasak ḳhud meñ nihāñ huuñ maiñ bhī
tere āġhāz se anjām hai raushan merā
barg-e-āvāra koī ḳhāk-e-ravāñ huuñ maiñ bhī
mo'tabar ab to banā ai nigah-e-nāz mujhe
is bhare shahr meñ benām-o-nishāñ huuñ maiñ bhī
vaz.a-dārī kā ḳharīdār kahīñ se laao
apnī tahzīb kī uThtī sī dukāñ huuñ maiñ bhī
tere ḳhvāboñ se hai ābād ḳharāba merā
terī yādoñ meñ karāñ-tā-ba-karāñ huuñ maiñ bhī