Lutf-ur-rahman

yun nikalti hai meri baat dahan se uske

Lutf-ur-rahman

Darbhanga, Bihar, India

1941
yuuñ nikaltī hai mirī baat dahan se us ke
jaise barsoñ kā ta.āruf ho badan se us ke
yuuñ sar-e-bazm milā TuuT ke ik umr pe vo
ham bhī ghabrā ga.e be-sāḳhta-pan se us ke
us kā lahja hai ki bahtī huī naġhmoñ kī nadī
jaise ilhām kī bārish ho suḳhan se us ke
us se mil ke bhī ḳhalā ab bhī vahī ruuh meñ hai
mutma.in dil bhī nahīñ sarv-o-saman se us ke
ḳhilqat-e-shahr ne afsāne tarāshe kyā kyā
dil tahī-dast hī lauTā hai chaman se us ke
is tarah shahr salīboñ se sajāyā us ne
koī mahfūz nahīñ dār-o-rasan se us ke
dekhnā kis ke lahū se hai charāġhāñ maqtal
ek ugtā huā sūraj hai kafan se us ke
Top Urdushayar.com