ġhaar se sañg haTāyā to vo ḳhālī niklā
kisī qaidī kā na kirdār misālī niklā
chaḌhte sūraj ne har ik haath meñ kashkol diyā
sub.h hote hī har ik ghar se savālī niklā
sab kī shakloñ meñ tirī shakl nazar aa.ī mujhe
qur.a-e-fāl mire naam pe gaalī niklā
raas aa.e mujhe murjhāte hue zard gulāb
ġham kā partav mire chehre kī bahālī niklā
kaT gayā jism magar saa.e to mahfūz rahe
merā shīrāza bikhar kar bhī misālī niklā
raat jab guzrī to phir sub.h hinā-rañg huī
āsmāñ jaagī huī aañkh kī laalī niklā
raat mujh se bhī to har ghar ke dar-o-bām saje
chāñd kī tarah mirā aks ḳhayālī niklā
taḳht ḳhālī hī rahā dil kā hamesha 'sājid'
is riyāsat kā to koī bhī na vaalī niklā