Lutf-ur-rahman

main apne-ap ko aawaz de raha hun abhi

Lutf-ur-rahman

Darbhanga, Bihar, India

1941
maiñ apne-āp ko āvāz de rahā huuñ abhī
ġhazal ke haath meñ ik saaz de rahā huuñ abhī
ik ek harf mirī tishnagī kā zāmin hai
ik ek harf ko ejaaz de rahā huuñ abhī
havā kī zad pe koī barg-e-zard hai kab se
so us ke soz ko ik saaz de rahā huuñ abhī
maiñ dar-ba-dar huuñ abhī apnī justujū meñ bahut
maiñ apne lahje ko andāz de rahā huuñ abhī
thamā ke haath meñ un ke fazīlatoñ kī sanad
maiñ jāhiloñ ko bhī e.azāz de rahā huuñ abhī
ajab tilism hai aks-e-niyāz o naqsh-e-havas
maiñ rabt-e-shauq ko āġhāz de rahā huuñ abhī
Top Urdushayar.com