jaane kis sāniha-e-dard ke ġhammāz rahe
ahd-dar-ahd bikhartī huī āvāz rahe
gum huī jaatī hai tārīk ḳhalāoñ meñ nazar
is ghaḌī mere sirhāne mirā dam-sāz rahe
apnī pahchān hī kho baiThe haiñ rafta rafta
apne hī aap se kitne nazar-andāz rahe
nā-rasā.ī kā ye dukh bhī to mukammal na huā
ham tire rabt meñ āġhāz hī āġhāz rahe
aa ke vāpas na gayā koī havā kā jhoñkā
TūTte lamhoñ meñ ehsās ke dar baaz rahe