duniyā ne zar ke vāste kyā kuchh nahīñ kiyā
aur ham ne shā.erī ke sivā kuchh nahīñ kiyā
ġhurbat bhī apne paas hai aur bhuuk nañg bhī
kaise kaheñ ki us ne atā kuchh nahīñ kiyā
chup-chāp ghar ke sehn meñ faaqe bichhā diye
rozī-rasāñ se ham ne gila kuchh nahīñ kiyā
pichhle baras bhī boī thiiñ lafzoñ kī khetiyāñ
ab ke baras bhī is ke sivā kuchh nahīñ kiyā
ġhurbat kī tez aag pe aksar pakā.ī bhuuk
ḳhush-hāliyoñ ke shahr meñ kyā kuchh nahīñ kiyā
bastī meñ ḳhaak aḌaa.ī na sahrā meñ ham ga.e
kuchh din se ham ne ḳhalq-e-ḳhudā kuchh nahīñ kiyā
māñgī nahīñ kisī se bhī hamdardiyoñ kī bhiik
'sājid' kabhī ḳhilāf-e-anā kuchh nahīñ kiyā