zard pattoñ ko havā saath liye phirtī hai
dam-gazīda haiñ qazā saath liye phirtī hai
raakh ho jaa.e na fāqoñ ke jahannam meñ hayāt
be-kasī apnī chitā saath liye phirtī hai
maañ ke hoñToñ se thī niklī dam-e-ruḳhsat jo duā
mujh ko ab tak vo duā saath liye phirtī hai
aas kī raakh meñ DhūñDeñ na.ī ummīd koī
zindagī bīm-o-rajā saath liye phirtī hai
sach kā hai qaht yahāñ jhuuT kā bāzār hai garm
ab hameñ mauj-e-fanā saath liye phirtī hai
ek patthar hai bahut jhiil ke sannāTe ko
ḳhāmushī koh-e-nidā saath liye phirtī hai
apne saa.e se gurezāñ nahīñ ik tū hī 'rabāb'
shahr bhar ko ye vabā saath liye phirtī hai