Zafar Rabab

saneha roz naya ho to ghazal kya kahiye

Zafar Rabab

sāneha roz nayā ho to ġhazal kyā kahiye
har taraf hashr bapā ho to ġhazal kyā kahiye
barbariyyat pe hī qadġhan hai na saffākī par
raqs-e-iblīs ravā ho to ġhazal kyā kahiye
tīr-e-bārāñ mere pindār pe haiñ ahl-e-jafā
izzat-e-nafs fanā ho to ġhazal kyā kahiye
bolnā bhī yahāñ dushvār hai chup rahnā bhī
qufl hoñToñ pe lagā ho to ġhazal kyā kahiye
ek nāsūr sā hai dil kī jagah siine meñ
zaḳhm andar se harā ho to ġhazal kyā kahiye
bhuuk ne talḳhiyāñ bhar dī haiñ lab-o-lahje meñ
zahr fāqoñ meñ ghulā ho to ġhazal kyā kahiye
dam ġharībī meñ nikaltā na Thahartā hai 'rabāb'
zindagī sard chitā ho to ġhazal kyā kahiye
Top Urdushayar.com