jaañ rahe nochte hayāt ke dukh
zaat ke aur kā.enāt ke dukh
kuchh bigāḌā na vaqt ne in kā
haiñ javāñ ab bhī mere saath ke dukh
roz-marra kā ban ga.e ma.amūl
roz-marra muāmalāt ke dukh
fatah ne bhī shikast-o-reḳht hī dī
jiit se munsalik the maat ke dukh
rah gayā ab junūñ hī kam-āmez
ishq meñ to haiñ baat baat ke dukh
ham ġharīboñ ke roz-o-shab na pūchh
din meñ bhī jāgte haiñ raat ke dukh
TūTne meñ hī āfiyat thī 'rabāb'
jheltā kaun ehtiyāt ke dukh