is baar huā kun kā asar aur tarah kā
is baar hai imkān-e-bashar aur tarah kā
is baar madīne hī meñ dar aayā thā kuufa
is baar kiyā ham ne safar aur tarah kā
is baar na asbāb na chādar pe nazar thī
is baar thā luTne kā ḳhatar aur tarah kā
is baar koī aib koī aib nahīñ thā
is baar kiyā ham ne hunar aur tarah kā
is baar koī ḳhair kā tālib hī nahīñ thā
is baar thā andesha-e-shar aur tarah kā
is baar chalī bād-e-sumūm aur tarah kī
is baar khilā hai gul-e-tar aur tarah kā
is baar to jibrīl-e-ma.ānī ko milā izn
is baar jalā lafz kā par aur tarah kā