kisī ne pūchhā jo umr-e-ravāñ ke baare meñ
to kyā batā.eñge sūd-o-ziyāñ ke baare meñ
harīm-e-dīda-varī ḳhaak uḌ rahī hai mirī
maiñ jāntī thī ġhubār-e-makāñ ke baare meñ
na-jāne kaisī guzartī hai jaane vāloñ par
koī batātā nahīñ raftagāñ ke baare meñ
duā karo ki salāmat rahe mirā pindār
zamīñ pe sochtī huuñ āsmāñ ke baare meñ
na-jāne kitne harīfoñ ke naam yaad aa.e
maiñ likh rahī thī saf-e-dostāñ ke baare meñ
har ek qisse pe dil apnā thaam thaam liyā
jo vāqi.āt sune dāstāñ ke baare meñ
yaqīn kar ki abhī tak hai dil ko tujh pe yaqīñ
ye husn-e-zan hai kisī bad-gumāñ ke baare meñ
fareb-e-sāda-dilī dekh us sitamgar ne
bayān raaz kiyā rāz-dāñ ke baare meñ