hamārī qurbatoñ meñ fāsla na rah jaa.e
qadam se lipTā huā rāsta na rah jaa.e
havā-e-vahshat-e-dil tez chal rahī hai bahut
ridā-e-hijr mirā sar khulā na rah jaa.e
ḳhudā ke naam pe jis tarah log mar rahe haiñ
duā karo ki akelā ḳhudā na rah jaa.e
ye log kis liye apne tavāf meñ haiñ magan
sanam-kade meñ musallā bichhā na rah jaa.e
tanābeñ kaaT rahā hai vo ḳhvāhishoñ kī mirī
kahīñ pe dasht meñ ḳhema lagā na rah jaa.e
ye lamha lamha jo ham jām-e-hijr pī rahe haiñ
to tishnagī kā salīqa dharā na rah jaa.e
mujāvirān-e-adab ik nazar ināyat kī
ġhazal kī shakl meñ katba lagā na rah jaa.e