tamām umr-e-ravāñ kā maal hairat hai
javāb jis kā nahīñ vo savāl hairat hai
dukān-e-chashm yahāñ be-misāl hairat hai
is aa.ine kā sarāsar kamāl hairat hai
ye zindagī to tire saath saath ḳhatm hui
jo mujh meñ baaqī hai vo lā-zavāl hairat hai
vo ḳhvāb aise the ta.abīr in kī thī hī nahīñ
ramīda hijr gurezāñ visāl hairat hai
huī tilism-zada jab ye aa.ine ne kahā
yahāñ to saare kā saarā jamāl hairat hai
adam vajūd adam uf ye silsile kaise
maiñ luT ga.ī huuñ magar mālā-māl hairat hai
ye kā.enāt hai hairān apne hone pe
qadam qadam pe yahāñ mahv-e-hāl hairat hai