be-talab kar ke zarūrat bhī chalī jaa.e agar
Dar rahī huuñ ki ye vahshat bhī chalī jaa.e agar
shaam hote hī sitāroñ se ye pūchhā aksar
shaam hone kī ye sūrat bhī chalī jaa.e agar
ik tirā dard salīqe se sambhālā lekin
dīda-e-tar se tarāvat bhī chalī jaa.e agar
ye to hai ḳhūn-e-jigar chāhiye lekin ai dil
sher kahne kī ri.āyat bhī chalī jaa.e agar
maiñ to hairān pareshān yahī sochtī huuñ
ā.īna ḳhāne se hairat bhī chalī jaa.e agar
ik nazar bhar kā hī saudā chalo manzūr hameñ
kam-nigāhī kī ye mohlat bhī chalī jaa.e agar
vo gayā hai to mujhe kaam hī ab koī nahīñ
kyā hī achchhā ho ki fursat bhī chalī jaa.e agar
dil ke malbe meñ tamannā ne ye hasrat se kahā
kyā ho ta.amīr kī hasrat bhī chalī jaa.e agar
terī furqat baḌī dushvār magar aise meñ
yaad karne kī suhulat bhī chalī jaa.e agar
ab nashāt-e-ġham-e-furqat se savāl itnā hai
tāziya-dārī kī lazzat bhī chalī jaa.e agar