phuul murjhā jā.eñge kāñTe lage rah jā.eñge
har ḳhushī miT jā.egī bas dukh hare rah jā.eñge
lāla-zāroñ kohsāroñ meñ tumheñ DhūñDeñge ham
yaad ke be-nām se kuchh silsile rah jā.eñge
tum qarīb ho kar bhī itnī duur hote jaate ho
qurbatoñ ke darmiyāñ bas fāsle rah jā.eñge
tasfiya mābain apne ho na pā.egā kabhī
ham anā kī aag meñ jalte hue rah jā.eñge
azm kī sham.eñ umīdoñ kī har ik qindīl ko
ham bujhā kar zulmat-e-shab meñ khaḌe rah jā.eñge
surma-o-ġhāza ke badle dhuul jamtī jā.egī
sab ke chehre gard-e-qismat se aTe rah jā.eñge
sab chale jā.eñge ik be-nām manzil kī taraf
ghar kī taḳhtī kī jagah katbe lage rah jā.eñge