vo chāñd hai to aks bhī paanī meñ aa.egā
kirdār ḳhud ubhar ke kahānī meñ aa.egā
chaḌhte hī dhuup shahr ke khul jā.eñge kivāḌ
jismoñ kā rahguzār ravānī meñ aa.egā
ā.īna haath meñ hai to sūraj pe aks Daal
kuchh lutf bhī surāġh-rasā.ī meñ aa.egā
raḳht-e-safar bhī hogā mire saath shahr meñ
sahrā bhī shauq-e-naql-e-makānī meñ aa.egā
phir aa.egā vo mujh se bichhaḌne ke vāste
bachpan kā daur phir se javānī meñ aa.egā
kab tak lahū ke habs se garmā.egā badan
kab tak ubaal aag se paanī meñ aa.egā
sūrat to bhuul baiThā huuñ āvāz yaad hai
ik umr aur zehn girānī meñ aa.egā
'sājid' tū apne naam kā katba uThā.e phir
ye lafz kab libās-e-ma.ānī meñ aa.egā