gal ko sharminda kar ai shoḳh gulistān meñ aa
lab siiñ ġhunche kā jigar ḳhuuñ karo muskyān meñ aa
vahī ik jalva-numā jag meñ hai duujā koī nahīñ
dekh vājib kuuñ sadā majma.a-e-imkān meñ aa
zindagī mujh dil-e-murda kī tauhīñ hai mat jā
dil se gar ḳhush nahīñ ai shoḳh mirī jaan meñ aa
gul dil-e-ġhuncha naman tañg ho rañg-o-bū siiñ
jab kare yaad tire lab ke ta.iiñ dhyān meñ aa
gar tū mushtāq hai dilbar safar-e-dariyā kā
aa ke kar mauj mire dīda-e-giryān meñ aa
mat milā kar tū raqībāñ siiñ sabhī paajī haiñ
dekh kar qadr aapas kā ai sanam shaan meñ aa
yuuñ mirā dil tire kūche kā balā-gardāñ hai
jyuuñ kabūtar uḌe hai chhatrī ke gardān meñ aa
gar karo qatl mire dil kuuñ taġhāful siiñ jaan
phir ke da.avā na karūñ hashr ke maidān meñ aa
dil-e-'yakrū' hai tirā paa.e bandhiyā kākul kā
yaad rakh us kuuñ sadā mat kabhū nisyān meñ aa