is tarah ruḳh pherte ho sunte hī bose kī baat
shāh-e-ma.ashūqāñ ke aage kyā hai ye etī bisāt
kyuuñ na dauḌe tab divānā ho ke majnūñ dasht kuuñ
jab likhī ho āshiqāñ kī shāḳh-e-āhū pe barāt
jhiljhilātī hai mahīñ jaame siiñ tere tan kī jot
maah kā ḳhirman hai ai ḳhurshīd-rū terā yogāt
sau girah thī dil meñ mere ḳhosha-e-añgūr juuñ
ek pyāle siiñ kiyā saaqī neñ hall-e-mushkilāt
kuchh kaho 'yakrū' piyā dar siiñ tire Taltā nahīñ
būjhtā hai ek ye ghar jāntā nahiñ pāñch saat