terā hī maiñ gadā huuñ merā tū shaah bas hai
mujh shab kī raushnī kuuñ tujh ruḳh kā maah bas hai
surma se gard-e-mizhgāñ saf bāñdh ke biThī haiñ
shāh-e-nayan kuuñ terī yū qibla-gāh bas hai
dil kī shikastagī suuñ paayā huuñ bādshāhī
karne kuuñ sarvarī ke aisī kulāh bas hai
mahshar ke ḳhur kī tap siiñ kuchh Dar nahīñ haman kuuñ
zulf-e-siyah kā saaya dil kī panāh bas hai
do jā nahīñ hai jag meñ maujūd juz ḳhudā ke
is baat kī shahādat ik lā-ilāh bas hai
'yakrū' huā hai paanī sun 'ābrū' kā misra.a
''rakhne ko yūsufāñ ke ik dil kī chaah bas hai''