sunāyā yaar niiñ aa kar do taara
bulandī pe chaḌhā merā sitāra
mazedārī hai saarī hind ke bech
na kar azm-e-samarqand-o-buḳhārā
rahā hai ishq-bāzī bech vo chust
butāñ kan naqd-e-dil kuuñ jin niiñ haarā
rahegā jaan jiitā kyūñke 'yakrū'
nigah kā tiir tujh añkhiyāñ niiñ maarā