Iqbal Sajid

go dahr ke naqshe mein hain bahar bhi nahin hum

Iqbal Sajid

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1932-1988
go dahr ke naqshe meñ haiñ bāhar bhī nahīñ ham
rakhte haiñ nishāñ aur ujāgar bhī nahīñ ham
kyuuñ ham se phir ummīd-e-sadaf bāñdh rahe ho
jab tum ko patā hai ki samundar bhī nahīñ ham
ḳhushbū kī tarah phuul ke pinjre meñ nahīñ band
āzād fazāoñ kā muqaddar bhī nahīñ ham
ehsās hai phir ḳhāna-badoshī kā hameñ kyuuñ
rahne ko Thikāna bhī hai be-ghar bhī nahīñ ham
kaise ho ḳhad-o-ḳhāl se pahchān hamārī
ma.anī kī tarah lafz ke andar bhī nahīñ ham
parvāz sabab kaise ho bachchoñ kī ḳhushī kā
titlī kī tarah mus.haf-e-gul par bhī nahīñ ham
is kā ye taqāzā hai ki ahkām bajā laa.eñ
jis husn kā sarkār ke naukar bhī nahīñ ham
Top Urdushayar.com