gudāz-e-ātish-e-ġham siiñ huī haiñ bāvlī añkhiyāñ
añjhū ke bhāñt paanī ho ke maaTī meñ rulī añkhiyāñ
kareñgī qatl dil kuuñ aaj teġh-e-abruvāñ-setī
nipaT ḳhūnīñ haiñ zālim ham niiñ terī aTkalī añkhiyāñ
pa.e-daf-e-gazand-e-zul-fiqār abrū tire mukh par
mizha kuuñ kar zabāñ kartī haiñ dam nād-e-alī añkhiyāñ
agar dekheñ bahār-e-husn khil gul ke naman phūleñ
rahīñ haiñ muñd jaddā.ī ye ḳhizāñ siiñ juuñ kalī añkhiyāñ
nahīñ darkār kuchh ai ḳhush-nigah surme kā dumbāla
mirā dil qatl karne kuuñ yū bas haiñ aTkalī añkhiyāñ
gayā hai māh-rū jab siiñ judā ho āb-e-haivāñ juuñ
jase maahī judā jal siiñ tapīñ yuuñ tilmilī añkhiyāñ
na hove dard-e-sar 'yakrū' kuuñ paidā garmī-e-ġham suuñ
agar dekheñ piyā ke mukh kā rañg-e-sandalī añkhiyāñ