Azad Gurdaspuri

kabhi nakaamiyon ka apni hum matam nahin karte

Azad Gurdaspuri

kabhī nākāmiyoñ kā apnī ham mātam nahīñ karte
muqaddar meñ jo ġham likkhe haiñ un kā ġham nahīñ karte
tumhāre naqsh-e-pā par jo nigāheñ apnī rakhte haiñ
vo sar dair-o-haram ke sāmne bhī ḳham nahīñ karte
ghaTāoñ ko barasne kā ishāra hī nahīñ miltā
vo jab tak zulf apne dosh par barham nahīñ karte
masā.il daur-e-hāzir ke haiñ mauzūa-e-ġhazal kuchh yuuñ
ki shā.ir aaj ke zikr-e-gul-o-shabnam nahīñ karte
ise tahzīb-e-ġham kā naam ahl-e-dard dete haiñ
mire aañsū kabhī dāman tumhārā nam nahīñ karte
samajhte haiñ ise ahl-e-nazar sāmān-e-ḳhud-bīnī
shikasta aa.ine kā vo kabhī mātam nahīñ karte
añdheroñ kī shikāyat kyā añdhere phir añdhere haiñ
ujāle bhī sitam is daur meñ kuchh kam nahīñ karte
mohabbat kis se ham karte haiñ kuchh batlā nahīñ sakte
ye hai vo raaz jis meñ dil ko bhī mahram nahīñ karte
fareboñ se kahāñ tak dil ko ham 'āzād' bahlā.eñ
sarāb-e-dasht shiddat tishnagī kī kam nahīñ karte
Top Urdushayar.com