har ghaḌī kā saath dukh detā hai jān-e-man mujhe
har koī kahne lagā tanhā.ī kā dushman mujhe
din ko kirneñ raat ko jugnū pakaḌne kā hai shauq
jaane kis manzil meñ le jā.egā pāgal-pan mujhe
saada kāġhaz rakh ke aayā huuñ numā.ish-gāh meñ
dekh kar hotī thī har tasvīr ko uljhan mujhe
nāchtā thā paañv meñ lamhoñ ke ghuñgrū bāñdh kar
de gayā dhokā simaT kar vaqt kā āñgan mujhe
nekiyoñ ke phal nahīñ lagte badī ke peḌ par
us ne vāpas kar diyā hai phir tahī-dāman mujhe
dosto sun lī ḳhudā ne kal mirī pahlī duā
sharm se āḳhir jhukānī paḌ ga.ī gardan mujhe
kyā milā tujh ko batā andhe se lāThī chhīn kar
kar diyā kyuuñ aas se mahrūm jān-e-man mujhe
sard ho saktī nahīñ 'sājid' kabhī siine kī aag
dil jalāne ko milā hai yaad kā īñdhan mujhe