hazār ta.ane sunegā ḳhajil nahīñ hogā
ye vo hujūm hai jo mushta.il nahīñ hogā
zamīñ par aane se pahle hī ilm thā mujh ko
mirā qayām yahāñ mustaqil nahīñ hogā
añdherā pūjne vāloñ ne faisla diyā hai
charāġh ab kisī shab meñ muḳhil nahīñ hogā
tujhe muaaf to kar dūñgā saarī bātoñ par
magar ye zaḳhm kabhī mundamil nahīñ hogā