gale lagā.e mujhe merā rāzdāñ ho jaa.e
kisī tarah ye shajar mujh pe mehrbāñ ho jaa.e
sitāre jhaaḌ ke bāloñ se ab ye kahtā huuñ
koī zamīn pe rah kar na āsmāñ ho jaa.e
isī liye to udāsī se guftugū nahīñ kī
kahīñ vo baat na bātoñ ke darmiyāñ ho jaa.e
ye zaḳhm aise nahīñ haiñ ki jo dikhā.eñ tumheñ
ye rañj aisā nahīñ hai ki jo bayāñ ho jaa.e
bulā rahā hai koī āsmāñ kī khiḌkī se
so aaj ḳhāk-nashīñ terā imtihāñ ho jaa.e