ik ajnabī kī tarah hai ye zindagī mire saath
jo vaqt kaaT rahī hai hañsī-ḳhushī mire saath
sunā rahā huuñ kisī aur ko kathā apnī
khaḌā huā hai koī aur aadmī mire saath
safar meñ peḌ kā saayā nahīñ milegā mujhe
bas itnā sunte hī dīvār chal paḌī mire saath
vo mujh ko pahle bhī tanhā kahāñ samajhtā thā
phir us ne merī udāsī bhī dekh lī mire saath
sunā hai haal batāne se dard ghaTtā hai
so ek roz charāġhoñ ne baat kī mire saath
alaav jaltā rahā jab talak maiñ chaltā rahā
maiñ ruk gayā to kahānī bhī ruk ga.ī mire saath