Abid Malik

ye kar-e-KHair hai isko na kar-e-bad samho

Abid Malik

Mianwali, Punjab, Pakistan

1978
ye kār-e-ḳhair hai is ko na kār-e-bad samho
mujhe tabāh karo aur ise madad samho
maiñ is kahānī meñ tarmīm kar ke laayā huuñ
jo tum ko pahle sunā.ī thī mustarad samho
mujhe ḳhudā se nahīñ hai koī gila lekin
tum aadmī ho to phir aadmī kī had samho
ye sirf peḌ nahīñ hai sadī kā qissa hai
ye jo bhī baat kare us ko mustanad samho
yahāñ kisī ne bhī ā.indagāñ nahīñ dekhe
so jo guzār chuke ho vahī abad samho
Top Urdushayar.com