shahr se jab bhī koī shahr judā hotā hai
har taraf naqshe pe kohrām bapā hotā hai
roz ik baaġh guzartā hai isī raste se
roz kashkol meñ ik phuul dharā hotā hai
zaḳhm aur peḌ ne ik saath duā māñgī hai
dekhiye pahle yahāñ kaun harā hotā hai
ek duuje ko kabhī jaan nahīñ paa.e ham
maiñ nayā hotā huuñ yā ḳhvāb nayā hotā hai
maiñ sunā aayā huuñ kal raat use apnī kathā
jaane ab yaar kī dīvār kā kyā hotā hai