ḳhudā ne jis ko chāhā us ne bachche kī tarah zid kī
ḳhudā baḳhshish karegā is liye iqbāl-'sājid' kī
gavāhī degā ik din ḳhud mirā munsif mire haq meñ
dharī rah jā.eñgī saarī dalīleñ mire hāsid kī
vahī jo pahle aayā thā vo sab ke ba.ad bhī aayā
usī paikar ne to pahchān karvā.ī hai mūjid kī
jo mere dil meñ thī us ne vahī tahrīr pahuñchā.ī
ab us se baḌh ke kyā tārīf ho saktī hai qāsid kī
jo andar se nahīñ bāhar se ḳhad-o-ḳhāl manvā.e
par asal-e-ā.īna sūrat gañvā detā hai qāsid kī
havāle se jo manvā.e vo sachchā.ī nahīñ hotī
qasam khātā nahīñ huuñ is liye maiñ rabb-e-vāhid kī