ḳhushk us kī zaat kā sātoñ samundar ho gayā
dhuup kuchh aisī paḌī vo shaḳhs banjar ho gayā
āñgan āñgan zahr barsā.egī us kī chāñdnī
vo agar mahtāb kī sūrat ujāgar ho gayā
mere aadhe jism kī us ko lagegī bad-duā
kal ḳhabar aa jā.egī vo shaḳhs patthar ho gayā
kis ne apne haath se ḳhud maut kā katba likhā
kaun apnī qabr par ibrat kā patthar ho gayā
qurb jab had se baḌhā duurī muqaddar ho ga.ī
us kā milnā bhī na milne ke barābar ho gayā
maiñ ki bāhar kī fazā meñ qaid thā jis ke sabab
aaj vo ḳhud jins ke pinjre ke andar ho gayā
muft meñ taqsīm kī 'sājid' matā-e-shā.erī
jis ne apnā qurb apnāyā vo shā.er ho gayā