Bismil Aghai

kitna ajib shab ka ye manzar laga mujhe

Bismil Aghai

Akbarabad, Uttar pradesh, India

1931
kitnā ajiib shab kā ye manzar lagā mujhe
tāroñ kī saf meñ chāñd suḳhnavar lagā mujhe
sochā to ham-safar mujhe tanhā.iyāñ milīñ
dekhā to āsmān bhī sar par lagā mujhe
tujh se bichhaḌ ke ye mirī āñkhoñ ko kyā huā
jis par nazar paḌī tirā paikar lagā mujhe
ye kis ne aa ke shahr kā naqsha badal diyā
dekhā hai jis kisī ko vo be-ghar lagā mujhe
simTā tirā ḳhayāl to dil meñ samā gayā
phailā to is qadar ki samundar lagā mujhe
'bismil' vo merī jaan kā dushman to thā magar
kyuuñ puurī kā.enāt se behtar lagā mujhe
Top Urdushayar.com