sab umr to jaarī nahīñ rahtā hai safar bhī
aatā hai kisī din to bashar lauT ke ghar bhī
manzil to baḌī shai na milī rāhguzar bhī
bāñdhā thā baḌe shauq se kyā raḳht-e-safar bhī
andar se phahoñde hue dīvār bhī dar bhī
dekhe haiñ baḌe logoñ ke ham ne baḌe ghar bhī
har samt hai vīrānī sī vīrānī kā aalam
ab ghar sā nazar aane lagā hai mirā ghar bhī
tanhā.ī-pasand itnā bhī mat ban ye samajh le
tanhā.ī meñ hai chain to tanhā.ī meñ Dar bhī
pāgal hai patā pūchh rahā hai mire ghar kā
kyā ḳhāna-ba-doshoñ kā huā kartā hai ghar bhī