Iqbal Sajid

ek rida-e-sabz ki KHwahish bahut mahngi paDi

Iqbal Sajid

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1932-1988
ik ridā-e-sabz kī ḳhvāhish bahut mahñgī paḌī
vaqt paḌne par hameñ bārish bahut mahñgī paḌī
haath kyā taape ki poroñ se dhuāñ uThne lagā
sard rut meñ garmī-e-ātish bahut mahñgī paḌī
mom kī sīḌhī pe chaḌh kar chhū rahe the āftāb
phuul se chehroñ ko ye koshish bahut mahñgī paḌī
ḳhār-e-qismat kyā nikāle haath zaḳhmī kar liye
nāḳhun-e-tadbīr kī kāvish bahut mahñgī paḌī
is amal ne to kahīñ kā bhī na rakkhā dosto
ḳhud ko chāhe jaane kī ḳhvāhish bahut mahñgī paḌī
zikr-e-qahat-e-rañg se pahle hī taale paḌ ga.e
har lab-e-tasvīr ko jumbish bahut mahñgī paḌī
tund-ḳhū maujoñ ne 'sājid' chāñd sāhil khā liye
bahr-e-shab meñ amn kī koshish bahut mahñgī paḌī
Top Urdushayar.com